rah bhatka hua insan nazar aata hai teri aankhon mein to tufan nazar aata hai pas se dekho to malum padega tum ko kaam bas dur se aasan nazar aata hai is ko malum nahin apne watan ki sarhad ye parinda abhi nadan nazar aata hai bas wahi bhumi pe insan hai kahne laeq jis ko har shakhs mein bhagwan nazar aata hai aai jis roz se beti pe jawani us ki bap har waqt pareshan nazar aata hai jab se tum chhod gae mujh ko akela 'amabar' shahr sara mujhe viran nazar aata hai