tera afsana chhed kar koi aaj jagega raat-bhar koi aise wo dil ko tod deta hai dil na ho jaise ho samar koi raat hote hi mere pahlu mein tut kar jata hai bikhar koi chand lamhon mein tod sab rishte de gaya dard umr-bhar koi ishq karta nahin hun main tum se kah ke pachhtaya umr-bhar koi main wafa kar ke ba-wafa thahra bewafa ho gaya magar koi kat kar pet jodega paise tab kharidega ek ghar koi tere aane ki aas mein 'amabar' dekhta hoga rahguzar koi