rah donon ki wahi hai samna ho jaega

rah donon ki wahi hai samna ho jaega
hoga nazron ka tasadum hadisa ho jaega

tum se chhuta bhi agar to zindagi hai ek safar
sath mere aur koi dusra ho jaega

dil ki uftad-e-tabiat ko bhala rokega kaun
phir kisi gham mein kisi din mubtala ho jaega

qafile walon mein tabligh-e-safar karte raho
kuchh na kuchh to rahbari ka haq ada ho jaega

us se be-maqsad bhi tum yun hi agar milte rahe
wo ghalat-fahmi mein ek din mubtala ho jaega

kya khabar thi ek sarae ke musafir ki tarah
ham-safar hoga wo mera phir juda ho jaega

azm-e-manzil hai to 'mahir' be-khatar badhte chalo
un chattanon mein bhi paida rasta ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close