rah-e-firaq kisi taur mukhtasar kije jo ho sake to kabhi khwab se guzar kije hamare dil mein bhi manzar ajib sair ka hai na aa saken to bulandi se hi nazar kije yahan pe chaaron taraf hai suragh raston ka par ikhtiyar koi rah dekh kar kije ye shahar-o-koh-o-bayaban-o-dasht-o-dariya the ab aage khwab hai ruk jaiye basar kije bane the khak se hum ko qayam karna tha hawa hain aap uda kijiye safar kije hum apne ahd-e-tamanna pe ab bhi qaem hain zara sharik-e-tamanna ko bhi khabar kije