nadim-e-dard-e-mohabbat bada sahaara hai jabhi to ye gham-e-dauran hamein gawara hai zamana kahta hai hangama-e-hayat jise mere hujum-e-tamanna ka istiara hai jo mere dil ko hai aatish-kada banae hue wo soz un ki nazar ka hi aashkara hai akela chhod ke tufan ko guzar jae ye be-rukhi meri kashti ko kab gawara hai na jaane mauj-e-tabassum hai ya koi aansu phir un ke hont pe betab ek sitara hai majal-e-ishq kahan thi ki hum ko karta khak hamein to zist ki pamaliyon ne mara hai wafa-e-dost ki masti nasib hai 'saghar' jafa-e-dahr faqat is liye gawara hai