rah-e-gum-karda sar-e-manzil bhatak kar aa gaya subh ka bhula tha lekin sham ko ghar aa gaya jaise us ko rok sakna apne bas mein hi nahin jab bhi chaha be-ijazat ghar ke andar aa gaya bhag kar jaen kahan ab tu hi kuchh tadbir kar samne apne samundar sar pe lashkar aa gaya us ne koshish to bahut ki sar bachane ki magar jis taraf se tha nahin andesha patthar aa gaya hum na kahte the ki 'farrukh' aadmi achchha nahin dekh tujh ko bhi yaqin ab is se mil kar aa gaya