rah-e-junun mein chala yun main umr-bhar tanha ki jaise koi bagula kare safar tanha udasi ruh se guzri hai is tarah jaise ujad dasht mein patjhad ki dopahar tanha bhatak rahi hai khalaon mein yun nazar jaise ho raat mein kisi gumrah ka guzar tanha guzar gae jaras-e-gul ke qafile kab ke taka kare yunhi ab gard-e-rah-guzar tanha nasim-e-subh mujhe bhi gale lagati ja main wo diya hun jala hai jo raat-bhar tanha nazar mein thi bhare bazar ki si virani hujum mein bhi rahe hum nagar nagar tanha andheri raat hawa sakht tez wahshat-e-dil hum aisi shab mein bhi phirte hain dar-ba-dar tanha musafiron pe 'musawwir' na jaane kya biti safina aaya hai sahil pe laut kar tanha