kab dil shikast-gan se kar arz-e-haal aaya hai be-sada wo chini jis mein ki baal aaya sine se main dua ko laya jo shab labon tak kahne lagi ijabat kidhar khayal aaya kaunain tak mili thi jis dil ki mujh ko qimat qismat ki yak nigah par ja us ko dal aaya bakhshish pe do jahan ke aai thi himmat-e-dahr lekin na yan zaban tak harf-e-sawal aaya nazan na ho tu is par gar tujh ko sang mein se gauhar nikalne ka kasb o kamal aaya arbab-e-fahm aage wo sahab-e-hunar hai kina kisi ke dil se jis ko nikal aaya dair-e-kharab mein kal ek mast ki zaban par ye sher us jagah ke kya hasb-e-haal aaya aamal dekh tere mai sharm se araq hai ai mohtasib tujhe bhi kuchh infial aaya milne ka ek dam bhi yan zoaf-e-dil hai mane ukta ke uth gaya wo tab main bahaal aaya nakhl-e-hayat apna gulshan mein baghban ne boya to tha hawas kar lekin na pal aaya iksir hai to kya hai wo musht-e-khak 'sauda' khatir pe jab kisi ki jis se malal aaya