rah-e-khirad mein jahan sar hai dard-e-sar bhi hai ki gu-magu bhi agar bhi hai aur magar bhi hai faqih-e-shahr muazzaz bhi mo'atabar bhi hai magar marasim-e-ulfat se be-khabar bhi hai teri nazar ki nazar bhi nahin nazar bhi hai jise hamari khabar bhi nahin khabar bhi hai yahan ki qaid se ghabra raha hai diwana ki is dayar mein diwar bhi hai dar bhi hai jahan-e-ariz-o-gesu ajib duniya hai ki jis mein sham bhi hai sath hi sahar bhi hai ye dil ki wadi-e-aiman mein kaun aa utra ki jo jamal-e-nahufta bhi jalwa-gar bhi hai jo rah ahl-e-khirad ke liye hai la-mahdud junun-e-jazba-e-ulfat mein mukhtasar bhi hai