haif bais tere itab ka main kya karun apne iztirab ka main teri aankhon ke aaine mein rahun aks ban jaun tere khwab ka main rabt mein bhi hisab un ka main aur qail hun be-hisab ka main aur kab tak rahun main misl-e-sawal muntazir aap ke jawab ka main sard-mehri ka hai lihaf un par aur paikar hun iztirab ka main jo mohabbat ke nam hai mansub ek waraq hun usi kitab ka main mujtanib mere iltifat se wo takhta-e-mashq ijtinab ka main kya karun aaina hai mere pas warna dushman nahin janab ka main kyon andhere khilaf hain mere kaun lagta hun aaftab ka main matn rudad-e-ishq ka 'raghib' ya khulasa junun ke bab ka main