rah-e-khulus mein behtar hai sar jhuka rakhna wo sar-kashida agar hai to sar siwa rakhna yahi wo soch hai jis ki talash thi mujh ko ye baat apne khayalon se ab juda rakhna na qurb-e-zat hi hasil na zakhm-e-ruswai ajib lagta hai ab khud se rabta rakhna tamam shahr ko aatish-kada banana hai dilon ki aag saliqe se ja-ba-ja rakhna bada ajib hai tahzib-e-irteqa ke liye tamam umr kisi ek ko ham-nawa rakhna kamal-e-hirs hai jazb-o-talab ki duniya mein badan ko ruh ki aawaz se juda rakhna buland kar ke zara hauslon ki diwaren diya jala ke hawa ko charagh-pa rakhna shikast-o-rekht ki duniya mein zinda rahne ki bikhar bikhar ke simatne ka hausla rakhna khud apni zat pe tanqid ke muradif hai kisi ke samne danista aaina rakhna jise mili hai ye daulat wahi samajhta hai ajib nemat-e-uzma hai dil dukha rakhna ho jab bhi jaana kisi ke nigar-khane mein 'nazar' khayal zara khadd-o-khal ka rakhna