ek parinda sar-e-diwar bhi baqi na raha ab to parwaz ka didar bhi baqi na raha habs aisa tha ki sae mein sulag utthe gulab lu chali aisi ki gulzar bhi baqi na raha log dam sadh gae khauf ne ghera aise koi andesha-e-be-kar bhi baqi na raha hadisa kya hua bikhre hue sannate mein lafz se rishta-e-izhaar bhi baqi na raha ek wahshat hi mataa-e-gham-e-jaanan nikli lutf-e-dildari-e-gham-khwar bhi baqi na raha jaan sisakti rahi khwahish ke bayabanon mein shauq-e-har-lahza ka aazar bhi baqi na raha dil bhi yaadon ki kadi dhup mein kumhla sa gaya aur koi saya-e-diwar bhi baqi na raha aisi virani hai khud maut bhi katra ke chali koi marne ka saza-war bhi baqi na raha