rah-e-safar mein aaj ye manzar bhi aaega

rah-e-safar mein aaj ye manzar bhi aaega
gulshan ke sath jalta hua ghar bhi aaega

ai ham-safar abhi se safar ki takan kyon
dasht-e-junun mein gham ka samundar bhi aaega

basti jala rahe hain magar ye rahe khayal
shoalon ki zad mein aap ka ye ghar bhi aaega

tanhai hi sahi na ruken rah mein qadam
manzil nigah mein ho to rahbar bhi aaega

ye chashm-e-kaif-e-yar taghaful ke sath sath
ilzam-e-qatl ab to tere sar bhi aaega

to yun meri wafaon ka ab imtihan na le
mere lahu se tar tera khanjar bhi aaega

tufan ki samt le na chalo karwan abhi
aandhi ki zad mein naqa-e-rahbar bhi aaega

mana hai dasht-e-shauq bahut pur-khatar 'zafar'
lekin wahan ghamon ka ye khugar bhi aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close