rah-e-safar mein chiz koi kya thi mere pas bas main tha aur wusat-e-sahra thi mere pas tha mere pas ghatti hui zindagi ka ranj aur ek lambi khwahish-e-duniya thi mere pas apna har ek nazara dikhana pada use karta wo kya ki chashm-e-tamasha thi mere pas tapte hue dinon mein kahin thi khunuk hawa aur sardiyon mein aag si barpa thi mere pas kya chiz thi jo ghulti rahi bahte waqt mein pal pal badalti rangat-e-dariya thi mere pas kaise bigad gai use kis ne badal diya 'shahin' jo ek surat-e-farda thi mere pas