shaikh aakhir ye surahi hai koi khum to nahin aur bhi baithe hain mahfil mein hamin tum to nahin na-khuda hosh mein aa hosh tere gham to nahin ye to sahil ke hain aasar-e-talatum to nahin naz-o-andaz-o-ada honton pe halki si hansi teri taswir mein sab kuchh hai takallum to nahin dekh anjam mohabbat ka bura hota hai mujh se duniya yahi kahti hai bas ek tum to nahin muskuraate hain saliqe se chaman mein ghunche tum se sikha hua andaz-e-tabassum to nahin ab ye mansur ko di jati hai nahaq suli haq ki puchho to wo andaz-e-takallum to nahin chandni-raat ka kya lutf 'qamar' ko aae lakh taron ki bahaaren hain magar tum to nahin