rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se badhe kashmakash-e-hayat ke aur bhi hausle badhe kis se ye puchhiye bhala tishna-labon ko kya mila kahne ko yun to roz hi saikdon mai-kade badhe koshish-e-paiham aafrin manzil ab aa gai qarib muzhda ho aarzu-e-dil panw ke aable badhe aate hi us ne bazm mein rukh pe naqab dal li hae wo manzar-e-hasin jaise diye jale badhe waqt ki aazmaishen lati hain zist par nikhaar phulon ko dekh lijiye kanton mein jo pale-badhe tabish-e-husn-e-yar ne chhin li tab-e-arz-e-shauq jitne qarib aae wo utne hi fasle badhe rahon ke rukh badal gae manzilen dur ho gain khizr ke eatibar par jab kabhi qafile badhe