aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae ek hum hi hain ki kucha-e-dilbar ke ho gae phir yun hua ki tujh se bichhadna pada hamein phir yun laga ki shahr samundar ke ho gae kuchh daere taghayyur-e-duniya ke sath sath aaise khinche ki ek hi mehwar ke ho gae us shahr ki hawa mein hai aisa bhi ek fusun jis jis ko chhu gai sabhi patthar ke ho gae suraj dhala hi tha ki wo sae badhe ki 'shauq' kam qamatan-e-shahr barabar ke ho gae