rah-e-talab mein baDi turfagi ke sath chale

rah-e-talab mein badi turfagi ke sath chale
kisi ke sath na the aur sabhi ke sath chale

na ham-safar koi paya na rahbar chaha
wo rah-rau hain ki hum zindagi ke sath chale

fareb khud ko diye aur khud hi pachhtae
kisi ka jo na hua hum usi ke sath chale

kaho ki hoti hai ek chiz sar-bulandi bhi
kaha ye kis ne ki hum sar-kashi ke sath chale

rahe sharik-e-safar e'timad-e-ham-qadmi
ye kya zarur hai koi kisi ke sath chale

shikasta-pa hi sahi rahrawan-e-dard magar
ye kam nahin ki salamat-rawi ke sath chale

khud apna soz-e-talab de sake na jis ka sath
dayar-e-gham mein wo kis raushni ke sath chale

ye kah ke ho gae khud se bhi hum juda 'hurmat'
safar mein kaun kisi ajnabi ke sath chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close