thokar se faqiron ki duniya ka bikhar jaana khwahish ka laraz jaana asbab ka dar jaana aakash ke mathe pe jadu ka sabab ye hai taron ka chamak jaana chanda ka nikhar jaana aa tujh ko bata dun main achchhi si ghazal kya hai afkar ke sanche mein lafzon ka utar jaana iqrar-e-mohabbat ki nazuk si dalilen hain aankhon mein chamak aana zulfon ka sanwar jaana be-rabt dalilen hain us shokh ki baaton mein kuchh der talak kahna phir kah ke mukar jaana duniya jise kahti hai wo nil-kamal tum ho har jhil ko jachta hai tera khil ke ubhar jaana tum meri zarurat ho 'alam' yahi kahta hai is baat ka matlab hai tere bin mera mar jaana