rah-e-talab mein dam-o-diram chhod jaenge likh lo hamare sher bade kaam aaenge jhuta hai jhut baat ye bolega aaina aao hamare samne hum sach bataenge tanha jo apna bojh uthae hue hain khud mar jaen hum to chaar ye mil kar uthaenge thodi si be-khudi ho to hum uth ke chal paden hosh-o-hawas mein to qadam ladkhadaenge hum ne tumhaare baad jalaya nahin charagh tum kya samajh rahe the ki hum dil jalaenge 'akhtar' hum aasman pe aa to gae magar aisa nahin ki apni zamin bhul jaenge