rah-e-ulfat mein mile aise bhi diwane mujhe jo maal-e-dosti aae the samjhane mujhe ishq ki halki si pahli aanch hi mein jal bujhe kya bhala dard-e-wafa denge ye parwane mujhe ye to kahiye be-khudi se mil gai kuchh aagahi warna dhoka de diya tha chashm-e-bina ne mujhe na-muradi lut hi leti mata-e-arzu ek sahaara de diya ehsas-e-farda ne mujhe kis se kahta dil ki baaten kis se sunta un ka raaz bazm mein to sab nazar aate hain begane mujhe tauba tauba na-ummidi ki khayal-araiyan dekhte hon jaise khud lalcha ke paimane mujhe mera ek adna sa partaw hai nizam-e-kaenat kya samajh rakkha hai is mahdud duniya ne mujhe jab kabhi dekha hai ai 'zaidi' nigah-e-ghaur se har haqiqat mein mile hain chand afsane mujhe