rah-e-ulfat mein yun to kaba-o-but-khana aata hai jabin jhukti hai lekin jab dar-e-jaanana aata hai safar tai ho chuka shayad dar-e-jaanana aata hai ki dil su-e-jabin sajde ko be-tabana aata hai teri ummid-e-wasl-e-hur hai ek zohd par mabni magar waiz mujhe har shewa-e-rindana aata hai hansi aae tujhe ya nind lekin aah mujh ko to bas ai be-gana-e-dard ek hi afsana aata hai dil ujda jab to phir baqi kahan duniya mein aabaadi nigahen jis taraf utthin nazar virana aata hai hamesha hasb-e-istedad hai faizan-e-qudrat bhi bahaar aai chaman mein dasht mein diwana aata hai thikana phir gham-e-duniya ne paya baad muddat ke ki apne hosh mein phir 'mani'-e-diwana aata hai