wahi be-baki-e-ushshaq hai darkar ab bhi hai wahi silsila-e-atash-o-gulzar ab bhi ab bhi maujud hai wo baiat-e-fasiq ka sawal aur matlub hai wo jurat-e-inkar ab bhi hain kahan ishq mein ghar-bar lutane wale khu-e-isar se maghlub hain ansar ab bhi koi yusuf to zamana kare paida 'ajmal' nazar aa sakti hai wo garmi-e-bazar ab bhi