rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha jab tak diya hamare lahu ka jala na tha ye moajiza hamare hi tarz-e-bayan ka tha us ne wo sun liya tha jo hum ne kaha na tha jab aashiyane jal gae tab ham-nawa hue gulshan mein is se pahle koi bolta na tha tu khud hi qatra qatra pighalta tha roz-o-shab shamil tere zawal mein dast-e-dua na tha shiddat ki dhup mein bhi na pighla mera wajud mujh par tumhaari zulfon ka jab shamiyana tha jugnu tha kahkashan tha sitara tha ya guhar aansu kisi ki aankh se jab tak gira na tha 'akhtar' gunah karne se phir rokta tha kaun main kaise man lun ki wahan par khuda na tha