shor-e-mahshar utha har samt se mai-khane mein jaane kya dal diya saqi ne paimane mein mahfil-e-husn mein shauq-e-dil-e-zahid mat puchh ghol kar tauba ko pi jate hain paimane mein mil gaya mujh ko pari-khana-e-dil mein aakhir jis ko dhunda tha bahut kabe mein but-khane mein uth gae rind-e-bala-nosh sanam-khane se khak udti si nazar aati hai mai-khane mein karwan manzil-e-maqsud pe pahuncha 'nayyar' main ki phirta hun abhi dasht mein virane mein