rah-e-wafa mein saya-e-diwar-o-dar bhi hai lekin usi pe jaan se jaane ka dar bhi hai waqfa hai zindagi to faqat chand roz ka phir shahr-e-rang-o-bu ki taraf ek safar bhi hai raushan rakho charagh lahu se tamam shab har raat ke nasib mein aakhir sahar bhi hai kirdar dekhne ki riwayat nahin rahi ab aadmi ye dekhta hai mal-o-zar bhi hai sun to rahe ho baat yun waiz ki ghaur se lekin yaqin us ki kisi baat par bhi hai daman-e-gul-rukhan ki tamanna bhi dosto kitna hasin khwab hai tum ko khabar bhi hai mera bayan-e-shauq bhala raegan ho kyun tahrir mein nihan mera khun-e-jigar bhi hai yun to koi aziz hain aur dost bhi magar 'shayan' ye batao koi mo'atabar bhi hai