sabr-o-qarar tut gaya iztirab se phir raaz khul gaya meri aankhon ke aab se us dil ke saz par kisi birhan ka git hai aane lagi hain siskiyan dil ke rabab se jaane se pahle us ne mujhe dewta kaha main umr bhar na chhut saka is khitab se phir yaad aa gae wahi collage ke din mujhe sukhe gulab nikle purani kitab se barbaadiyon mein meri kahan kis ka hath hai tum khud hi puchh lo dil-e-khana-kharab se jin ko guman tha kahin koi khuda nahin qaumen na bach sakin wo khuda ke azab se kafur pal mein hoti hai din bhar ki sab thakan jab dekhta hun bachchon ke chehre gulab se rakhiye bahut khayal huquq-ul-ibaad ka dena padega haq wahan sab ka hisab se 'shayan' tujh ko aarzu jannat ki hai agar dil ko laga le apne khuda ki kitab se