rah-e-wafa se gurez karna subut-e-khud-agahi nahin hai maqam-e-dar-o-rasan se hat kar to dur tak zindagi nahin hai yahi dalil-e-jawaz-e-masti yahi hai buniyaad-e-mai-parasti ata-e-pir-e-mughan se kamtar mazaq-e-tishna-labi nahin hai na ab wo sar-garmi-e-wafa hai na shoala-saman koi tamanna junun tadapta hua nahin hai nazar sulagti hui nahin hai abhi rukh-e-kaenat par hai syahi-e-shab ka raqs-e-paiham ye subh ka aaftab kya hai jo dagh-e-sharmindagi nahin hai sahar ke monis hain lala-o-gul nujum-o-mahtab shab ke sathi ye sab mere raazdar-e-gham hain yahan koi ajnabi nahin hai nazar mein hain aaj tak farozan wo khwab ke marmarin jazire ki jin ki khamosh rifaton par koi kiran dhup ki nahin hai ummid ka dil se hai talluq na jaane phir bhi maal kya ho charagh tak dastaras hai lekin giraft mein raushni nahin hai abhi ubharte hue sawere pe zulmat-e-shab ki hain nigahen main aise mahaul mein hun 'nazish' jahan hansi bhi hansi nahin hai