rah gai wo nigah-e-naz qalb o jigar mein baith kar dil mein latif si khalish aankh hai aansuon se tar raat ki nind ud gai din ka sukun lut gaya teri nigah-e-naz ne kar diya dil pe kya asar sun na sake usi ko wo kah na saka usi ko main aish ki dastan mein jo haal tha gham ka mukhtasar shakh se gul jo gir pada dil se laga ke rakh liya daur-e-khizan bhi dekh lun phul chune hain umr bhar koi agar nihaal hai koi kharab-haal hai zarf ke sath sath hai un ki nigah ka asar rang-e-chaman ko dekh kar 'arif'-e-khasta-dil ye kya phulon pe hai kabhi nazar kanton pe hai kabhi nazar