kaun kahta hai thahar jaana hai rang chadhna hai utar jaana hai zindagi se rahi sohbat barson jate jate hi asar jaana hai tutne ko hain sadaen meri khamushi tujh ko bikhar jaana hai khwab naddi sa guzar jaega dasht aankhon mein thahar jaana hai koi din hum bhi na yaad aaenge aakhirash tu bhi bisar jaana hai koi dariya na samundar na sarab tishnagi bol kidhar jaana hai laghzishen jaengi jate jate nashsha mana ki utar jaana hai naqsha chhoda hai hawa ne koi kaun si samt safar jaana hai zindagi se hain pasheman hum bhi kal ye dawa tha ki mar jaana hai