rah gaya insan akela bastiyon ke darmiyan gum hua suraj khud apni tabishon ke darmiyan hath lagte hi bikhar jate hain rangon ki tarah phul se paikar samay ki aandhiyon ke darmiyan ruh ki andhi gali mein chikhta hai raat-din jism ka zakhmi parinda khwahishon ke darmiyan ban gaya zanjir mere panw ki mera wajud qaid hai dariya bhi apne sahilon ke darmiyan khushk mitti mein mili hai phir nae mausam ki bas phir shajar nikhre baraste paniyon ke darmiyan har taraf manzil nazar aae to phir jaun kahan soch ka patthar bana hun raston ke darmiyan naqsh hai aankhon mein apni mausam-e-gul ka saman aaine shabnam ke rakkhe hain gulon ke darmiyan yun safar ki gard mein lipta hua paya 'nadim' jis tarah aaya ho suraj baadalon ke darmiyan