jab shikayat thi ki tufan mein sahaara na mila ab kinare pe bhi aae to kinara na mila be-sahaaron ko kahin koi sahaara na mila koi tufan na mila koi kinara na mila hath utthe hi nahin saghar o mina ki taraf hum ko jab tak teri aankhon ka ishaara na mila chal na sakta tha kabhi ahl-e-hawas ka jadu tujh ko ai dost koi ishq ka mara na mila jis ne dekha hamein dushman ki nazar se dekha teri mahfil mein koi dost hamara na mila maut behtar hai 'shamim' us ke liye jine se jis ko jine ke liye koi sahaara na mila