rah jae ya bala se ye jaan rah na jae tera to ai sitam-gar arman rah na jae jo dil ki hasraten hain sab dil mein hon to behtar is ghar se koi bahar mehman rah na jae iqrar-e-wasl to hai aisa na ho na aaen mushkil hamari ho kar aasan rah na jae ai soz-e-gham jala de ai dard khun rula de kuchh un ki dil-lagi ka saman rah na jae sab manzilen huin tai mahshar hai aur ai dil ye ek rah gaya hai maidan rah na jae wo jam-e-kufr-parwar bhar de ki mast kar de maston ke dil mein saqi iman rah na jae aa kar palat na khali ai marg jaan le ja 'fani' ke sar pe tera ehsan rah na jae