rah kar makan mein mere mehman jaiye mera bhi ek bar kaha man jaiye kahta har ek hai teri taswir dekh kar is shakl is shabih ke qurban jaiye mujh ko pila ke bazm mein kahne lage wo aaj bas jaiye yahan se meri jaan jaiye sumbul ne aaj nargis-e-hairan se ye kaha jab jaiye chaman mein pareshan jaiye main ne kaha ye un se jab aae wo waqt-e-naza hai aakhiri sawal mera man jaiye naqsh-e-qadam tera hai har ek ghairat-e-chaman ai yar teri chaal ke qurban jaiye ai yar dekh zulf-e-moambar na khol tu aage hi dil hai apna pareshan jaiye jis se kabhi tha tum ko shab-o-roz ikhtilat ye hai wahi to 'mashriqi' pahchan jaiye