uDa kar kag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai

uda kar kag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai
sharabi jama hain mai-khana mein topi uchhalti hai

bahaar-e-mai-kashi aai chaman ki rut badalti hai
ghata mastana uthti hai hawa mastana chalti hai

za-khud-rafta tabiat kab sambhaale se sambhalti hai
na ban aati hai naseh se na kuchh waiz ki chalti hai

ye kis ki hai tamanna chutkiyan leti hai jo dil mein
ye kis ki aarzu hai jo kaleje ko masalti hai

wo diwana hai jo is fasl mein fasden na khulwae
rag-e-har-shakh-e-gul se khun ki naddi ubalti hai

sahar hote hi dam nikla ghash aate hi ajal aai
kahan hun main nasim-e-subh pankha kis ko jhalti hai

tamatto ek ka hai ek ke nuqsan se aalam mein
ki saya phailta jata hai jun jun dhup dhalti hai

bina rakkhi hai gham par zist ki ye ho gaya sabit
na lapka aah ka chhutega jab tak sans chalti hai

qarar ek dam nahin aata hai khun-e-be-gunah pi kar
ki ab to khud ba-khud talwar rah rah kar ugalti hai

jahannam ki na aanch aaegi mai-khwaron pe o waiz
sharab aaluda ho jo shai wo kab aatish mein jalti hai

na dikhlana ilahi ek aafat hai shab-e-furqat
na jo kate se katti hai na jo tale se talti hai

ye achchha shughl wahshat mein nikala tu ne ai 'haidar'
gareban mein ulajhne se tabiat to bahalti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close