rah kar zamin pe chand k didar ke liye

rah kar zamin pe chand k didar ke liye
daftar mein din guzarte hain itwar ke liye

itna to masala bhi na tha jitna shor hai
bas bhid jut gai hai ye be-kar ke liye

be-wajh khinch tan mein kashti dubo gae
jab ki sabhi ko jaana tha us par ke liye

bas haal-chaal ka ye dikhawa na kijiye
rab tak duaen bhejiye bimar k liye

aankhon ko rab ne is liye binai saunp di
jis se ho ek aaina didar ke liye

phir yun hua ki hum ko kabhi waqt nahin mila
jab se ghadi kharid li diwar k liye

qisse mein jang aai to qurban ho gae
payaade lade the aakhiri kirdar ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close