hum se thin raunaqen bazm-araiyan ab sajate raho apni tanhaiyan koi khushbu nahin koi naghma nahin roz chalne ko chalti hain purwaiyan meri jaan main tujhe kis tarah jaanta is qadar wusaten itni gahraiyan dekh lije kahin aap hi to nahin meri aankhon mein hain chand parchhaiyan kaisa afsos matam ho kis baat ka phir wahi pastiyan aur paspaiyan haisiyat kya hai tahzib-o-aqdar ki kore kaghaz pe hain khama-farsaiyan