rah ki dhup se mafar hi nahin hum jahan hain wahan shajar hi nahin ya to mujh mein koi hunar hi nahin ya koi sahib-e-nazar hi nahin hun ye kis tirgi ke zindan mein raushni ka jahan guzar hi nahin koi dube koi sada ubhre shor-e-dariya pe kuchh asar hi nahin khushk patte uda rahi hai hawa ab koi phul shakh par hi nahin guftugu zakhm bhi hai marham bhi lafz shabnam bhi hain sharar hi nahin kya kisi se hum ustuwar karen rishta-e-jaan ki mo'atabar hi nahin