kuchh apna aashna kyun ai dil-e-nadan nahin hota ki aae ye rang gardish-e-dauran nahin hota khushi ke waste paida hua hai kaun duniya mein magar hum bhi ahl-e-dard ke shayan nahin hota kabhi pabandiyon se chhut ke bhi dam ghulne lagta hai dar-o-diwar hun jis mein wahi zindan nahin hota wahi hai misr mein har kucha-o-bazar ki raunaq magar har bikne wala yusuf-e-kanan nahin hota kabhi tang aa ke us ke husn se inkar bhi kar le koi be-kufr ke shaista-e-iman nahin hota yaqin laen to kya laen jo shak laen to kya laen ki baaton mein teri sach jhut ka imkan nahin hota hamara tajraba ye hai ki khush hona mohabbat mein kabhi mushkil nahin hota kabhi aasan nahin hota ye wo parda hai jo doshizgi ko aur chamka de siyah-kari se husn aaluda-e-isyan nahin hota nigah-e-ahl-e-dil se inqalab aae hain duniya mein yaqin rakh ishq itna be-sar-o-saman nahin hota 'firaq' ek ek se badh kar chaara-saz-e-dard hain lekin ye duniya hai yahan har dard ka darman nahin hota