rah mein jab mai-khana pada hai dil ko bahut samjhana pada hai gulshan gulshan aae the lekin sahra sahra jaana pada hai khair ho yarab hosh-o-khirad ki rah mein phir mai-khana pada hai kal jo chhalakta tha mahfil mein aaj sar-e-mai-khana pada hai kaam na diwana-pan aaya hosh mein phir se aana pada hai gulshan mein rote ho 'saran' kyon rone ko virana pada hai