dua salam sar-e-rahguzar kar lena magar har ek pe mat eatibar kar lena udhar na bhul ke jaana hawa jidhar ki chale ye dil pe jabr sahi ikhtiyar kar lena hain aastinon mein khanjar zara sanbhal ke miyan rawa-rawi mein na qaul-o-qarar kar lena mera khamir hai apne watan ki mitti se meri khataon mein ye bhi shumar kar lena kharab ho chuki mana rafaqaton ki faza gale laga ke unhen khush-gawar kar lena ye wo khazana hai jis ka badal nahin koi talluqat-e-kuhan ustuwar kar lena jo gird-o-pesh badhe zor kam-ayyari ka buland apni ana ka hisar kar lena main ab ke yaad ki khilat pahan ke aaunga ye mera wada raha intizar kar lena naya nahin hai tamasha ye dilbaron ka 'sahar' hai un ka khel dilon ka shikar kar lena