rah mein meri agar aae to mar jaenge aap kya mujhe yun hi nazar-andaz kar jaenge aap ek pal aasudgi ka ek lamha ishq ka mujh se ham-aghosh hote hi nikhar jaenge aap sath par mujh ko chhalakne ki na dawat dijiye ek qatra bhi agar tapka to bhar jaenge aap ek ada masumiyat aur ek tohmat masiyat kab talak bachte rahenge hum kidhar jaenge aap bad-shuguni ki alamat pesh-khema maut ka dekhiye hum jaan de denge agar jaenge aap qabr jaisi na-pasandida jagah bhi 'irtiza' dil kabhi hargiz na chahega magar jaenge aap