pas-manzaron ke samne manzar hi rah na jaen sinon ke raaz sinon ke andar hi rah na jaen kahne ki baat aur hai karne ki baat aur yani ye soch lijiye kah kar hi rah na jaen dekho wahi to waqt nahin aa raha hai phir phir aaj apne sath bahattar hi rah na jaen ek dusre ko ye jo hadap kar rahe hain hum socho zamin na ho to samundar hi rah na jaen is bar gir padi hain chhaten bhi makan ki is bar hath hath pe dhar kar hi rah na jaen bhai dua ka shish-mahal bhi hai koi chiz hathon mein bad-duaon ke patthar hi rah na jaen kuchh kar ke ai 'nishat' dikhao wagarna phir afrasiyab-o-khizr-o-sikandar hi rah na jaen