rah milti hai ghar nahin milta ghar mile bhi to dar nahin milta jis ko dekha tha main ne bachpan mein ab mujhe wo nagar nahin milta dekhta hun jo khud ko pani mein jism milta hai sar nahin milta mujh ko in zindagi ki rahon mein koi bhi ham-safar nahin milta jaane kya ho gaya hai mausam ko sabz koi shajar nahin milta tujh ko 'salman' teri mehnat ka jaane ab kyun samar nahin milta