sunae sach koi to sans bhi aahista leta hun kahin mujh par zara bhi shak hua to mara jaunga kisi se koi ab kyon mere marne ka sabab puchhe ye jab tai tha ki main ne sach kaha to mara jaunga utha ke main qadam bachta bhi kaise jaanta tha main mere haq mein mera lab bhi hila to mara jaunga sab aa ke lash par meri ab aansu kyon bahate ho kaha to tha ki main haq par raha to mara jaunga yahan aazad to hain sab na jaane kyon mujhe dar hai ki aazadi samajh kar main jiya to mara jaunga piye jate hain wan hasrat lahu insan hi insan ka main bhule se bhi us jaanib gaya to mara jaunga