raha gar koi ta-qayamat salamat phir ek roz marna hai hazrat-salamat jigar ko mere ishq-e-khun-naba-mashrab likhe hai khudawand-e-nemat salamat alarraghm-e-dushamn shahid-e-wafa hun mubarak mubarak salamat salamat nahin gar sar-o-barg-e-idrak-e-mani tamasha-e-nairang-e-surat salamat do-alam ki hasti pe khatt-e-fana khinch dil-o-dast-e-arbab-e-himmat salamat nahin gar ba-kaam-e-dil-e-khasta gardun jigar-khai-e-josh-e-hasrat salamat na auron ki sunta na kahta hun apni sar-e-khasta dushwar-e-wahshat salamat wafur-e-bala hai hujum-e-wafa hai salamat malamat malamat salamat na fikr-e-salamat na bim-e-malamat ze-khud-raftagi-ha-e-hairat salamat rahe 'ghaalib'-e-khasta maghlub-e-gardun ye kya be-niyazi hai hazrat-salamat