nikle ho kis bahaar se tum zard-posh ho jis ki nawed pahunchi hai rang-e-basant ko di bar mein ab libas-e-basanti ko jaise ja aise hi tum hamare bhi sina se aa lago gar hum nashe mein bosa kahen do to lutf se tum pas munh ko la ke ye hans kar kaho ki lo baitho chaman mein nargis o sad-barg ki taraf nazzara kar ke aish-o-masarrat ki dad do sun kar basant mutrib-e-zarrin-libas se bhar bhar ke jam phir mai-e-gul-rang ke piyo kuchh qumriyon ke naghma ko do samea mein rah kuchh bulbulon ka zamzama-e-dil-kusha suno matlab hai ye 'nazir' ka yun dekh kar basant ho tum bhi shad dil ko hamare bhi khush karo