raha na jine ka dil mein jo hausla baqi

raha na jine ka dil mein jo hausla baqi
to zinda rahne mein kya rah gaya maza baqi

wo chhin le gae sari mataa-e-azm-o-amal
hamare hisse mein bas rah gai dua baqi

ye ham-safar mere kin raston pe chal nikle
rafaqaton ke nahin jin pe naqsh-e-pa baqi

hazar daman-e-dil ko chhuda raha hun magar
wahi hai aaj bhi yaadon ka silsila baqi

kuchh aisa shahr pe chhaya kuduraton ka ghubar
kahin bacha koi manzar na jaan-faza baqi

ek izhdiham hai chehron ka gird-o-pesh magar
na ham-zaban koi baqi na dilruba baqi

bahut mitae gae zulm ke nuqush magar
lahu ke dagh abhi tak hain ja-ba-ja baqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close