shikasta-haal safina sambhaalne wala

shikasta-haal safina sambhaalne wala
koi nahin hai bhanwar se nikalne wala

koi nahin hai teri yaad tere gham ke siwa
azab-e-gardish-e-dauran ko talne wala

nawaz de jise chahe ba-yak nigah-e-karam
guman ko naqsh-e-haqiqat mein dhaalne wala

nafas nafas ke amal ka hisab rakhta hai
wo sath-e-bahr se pani uchhaalne wala

khud apne haal se begana hota jata hai
jahan ke dard ko sine mein palne wala

kisi ke husn ne chhoda kahan hai kab koi
mata-e-hosh-o-khirad ko sambhaalne wala

hamin to the jo sanbhaale the nazm-e-mai-khana
ab aage kaun hai is ko sambhaalne wala

tulua hoga wo suraj to hoga mashriq se
kiran kiran se zamin ko ujalne wala

sukhan mein harf-o-hikayat ke gauhar-e-nayab
wahi to hai meri jholi mein dalne wala

dilase dete hain kya kya hum ahl-e-urdu ko
magar koi nahin honi ko talne wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close