raha pesh-e-nazar hasrat ka bab awwal se aakhir tak padhi kis ne mohabbat ki kitab awwal se aakhir tak ishaara tak na likkha koi us ne rabt-e-baham ka bahut be-rabt hai khat ka jawab awwal se aakhir tak mayassar khak hota zindagi mein lutf-e-tanhai rahe do do farishte ham-rikab awwal se aakhir tak khushi mein bhi mohabbat dushman-e-sabr-o-sakun nikli raha dil mein wahi ek iztirab awwal se aakhir tak ghalat-koshi ki aadat ne asar paida kiya aisa ghalat nikla gunahon ka hisab awwal se aakhir tak mujhe le aai hai umr-e-rawan kin kharzaron mein hua hai chaak daman-e-shabab awwal se aakhir tak majal-e-guftugu pai to ab kyun mohr-bar-lab hai suna de o dil-e-ghaflat-maab awwal se aakhir tak andhere mein talash-e-dil agar hoti to kya hoti shab-e-tarik tha daur-e-shabab awwal se aakhir tak dahan-e-zakhm se bhi 'josh' haal-e-dil suna dekha namak-pashi hi tha un ka jawab awwal se aakhir tak